Monday 28 April 2014

Khud ki Talaash

Ek ajib si kashti me behta ja raha hu...
Ek nye hi safar pe chal pda hu...
Dhund raha hu khudka wajud...
Khudko hi aaj mai pehchan ne ki koshish kr rha hu...!!!
Kaha ja raha hu...
Q ja raha hu...
Badh rha hu...
Ya whi ruk gya hu...!!!
Ye kaisi kashmkash hai...
Ye kya maatam hai...
Aaj mai khud se hi khafa hu...
Ya mai khud se hi bhag rha hu...???
Muze chah hai aage badhne ki...
Meri aarzoo hai us mukam ko paane ki...
Phir bhi khi bhatak rha hu...
Is paheli me khi ulajh kr ro rha hu...!!!
Taqdir ko kosu...
Ya khud ko dosh du...
Is paheli ka jawab...
mai kaise khoj du...???
Dil b kho gya hai kisi andhiyare gufa me khi...
Sath tha kisika ab wo bhi hmare sath nhi...
Khud ko dhundne ki ye koshish phir bhi kr rha hu...
Raat to hai ghani par us savere ki raah mai puri shiddat se tak rha hu...!!!

-Vinus

No comments:

Post a Comment